Tere Naal Ishqa Lyrics - Shivaay

Movie: Shivaay
Singers: Kailash Kher
Song Lyricists: Sayeed Quadri
Music Composer: Mithoon Sharma

Tere Naal Ishqa Lyrics - Shivaay


O…


Teri tarah mujhe duniya mein
Nahi koi chaah sakta
Tere dil mein fikr meri
Rahe sham-o-subah


Tere dil mein har pal har dam hai
Khayaal mera hi hai basta
Tere labh pe zikr mera
Rahe sham-o-subah


Tere saath hoon mehfooz sada
Itna tujhpe hai yakeen mera
Tapti jalti inn raahon mein
Tu saaya mera


Sehra bhi hai gulshan ban jata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chahun teri panaah


Tere naal ishqa mera
Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera zyda
Main de du sadka zyda main de du sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera


Aa..


Tapti jaldi inn raahon mein
Tu saaya mera


Ho ik tere seene se lag kar hi
Mere dil ko aaye sukoon
Jab gham koi sataaye mujhe
Main tujhe hi toh dekhun


Jazbaat mere na koi samjha
Iss duniya mein tu ik tere siva
Har dil har sabh teri baahon mein
Hai chain mila


Sehra bhi hai gulshan ban jata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chahun teri panaah


Tere naal ishqa mera
Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera zyda
Main de du sadka zyda
Main de du sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera


Ho tera naal main jis bhi ghadi
Honthon pe laata hoon
Lafzon mein kahin
Khud hi chupa ehtraam paata


Chahe dekh loon main ye sara jahan
Sabse haseen manzar tu mera
Rehta basta nigaahon mein
Ik chehra tera


Sehra bhi hai gulshan ban jata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chahun teri panaah


Tere naal ishqa mera
Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera zyda
Main de du sadka zyda
Main de du sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera


Mere santu sada
Tu hai saaya mera
Chahun teri panaah


O…mere santu sada
Tu hai saaya mera
Chahun teri panaah.


0 Comments